Kya Sunwayi Hogi? Jantar Mantar par 18 Din se Jaari Hai Sangharsh
Delhi ke Jantar Mantar se ek aisi tasveer samne aayi hai jo dil ko jhakjhor dene wali hai. Pichle 18 dino se kuch log bina khaye, apni maango ko lekar wahan dharna diye baithe hain. Ye sirf ek protest nahi, balki ek lambi ladai hai jo nyay ki umeed mein ladi ja rahi hai.par sarkar ese undekha kar rahi hai avi tak koe government ke taraf se news nhi aae kya sarkar marne Dena chahti hai ya fir sarkar chup chap maje le rahi hai .sarkar bar bar bhrashtachar pe chup rahti hai jab aam public aawaj uthane ko aage aati hai tab sarkar side rahti hai sunti nhi kya janta esi tarah sathi rahegi ya sarka aage aa kar sunwayi karegi.
Kya hai poora mamla?
18 din ka samay koi chhota nahi hota. Garmi aur haalat ki musibaton ke bavjood, ye log apne stand par kayam hain. Har koi sirf ek hi sawal puch raha hai—akhir kab tak? Sarkar kya in bhrashtachar karne wale pe action legi .kya inhe estifa Dene ko bolegi ya uhi chup rahegi.
System par ek gehra sawal
Jab system se nyay nahi milta, tab aam aadmi ko sadak par utarna padta hai. "System Ka Khatma" tabhi hoga jab aawaz uthane walon ki baat suni jayegi. In logon ka sangharsh dikhata hai ki unhein system se kitni ummeeden hain.par sarkar ab tak chup q
Humari Zimmedari
Humein sirf is news ko dekh kar aage nahi badhana chahiye, balki inki takleef ko samajhna chahiye. Aapki kya rai hai? Kya desh ka system inki awaz sunega? Apne vichar niche comment mein zaroor batayein.


Comments
Post a Comment